Thursday, March 29, 2007






Jane kya Chahe Mann bawra ...




Pal pal ke is sannate mai bhi
Ek ajnabi sa ehsaas choo jata hai,
Door dharatal ki sachchai se
Mann jane kyun yun ghabraata hai ?


Indradhanush ke sab rang hain bikhre
Tab bhi aakash Megha-rahit hai,
Armano ki is barish mai bhi
Mann jane kyun yun chakit hai ?



Pankh laga kar samay hai udta
Kuch lamhe yaad kar aaj dil bhavuk hai,
Tab bhi aakash ko bahon mai samane,
Mann jane kyun yun utsuk hai?


Madhushala ki madakta mai,
Insaan jindagi dhunye(smoke) mai bharta hai,
Jab hansta hai thahake lagakar, tab bhi
Mann jane kyun yun sisaskta hai?


Aur bhi kavi hain kitne,
Jinke samman mai biche nain hain,
Shabdo ke khel ko samjhe kaun ? yahi soch
Mann jane kyun yun baichain hai ?