Thursday, March 29, 2007






Jane kya Chahe Mann bawra ...




Pal pal ke is sannate mai bhi
Ek ajnabi sa ehsaas choo jata hai,
Door dharatal ki sachchai se
Mann jane kyun yun ghabraata hai ?


Indradhanush ke sab rang hain bikhre
Tab bhi aakash Megha-rahit hai,
Armano ki is barish mai bhi
Mann jane kyun yun chakit hai ?



Pankh laga kar samay hai udta
Kuch lamhe yaad kar aaj dil bhavuk hai,
Tab bhi aakash ko bahon mai samane,
Mann jane kyun yun utsuk hai?


Madhushala ki madakta mai,
Insaan jindagi dhunye(smoke) mai bharta hai,
Jab hansta hai thahake lagakar, tab bhi
Mann jane kyun yun sisaskta hai?


Aur bhi kavi hain kitne,
Jinke samman mai biche nain hain,
Shabdo ke khel ko samjhe kaun ? yahi soch
Mann jane kyun yun baichain hai ?

11 comments:

Anonymous said...

Good work....[:)]!!!

ARPIT said...

I like that......

ABhit: the alter ego or the ego altered... said...

Madhushala ki madakta mai,
Insaan jindagi dhunye(smoke) mai bharta hai,
Jab hansta hai thahake lagakar, tab bhi
Mann jane kyun yun sisaskta hai?


love these lines.....
;)
nice to c ya back to hindi....!!!

Shwetank said...

कवि कितनॆ भी आएँ जाएँ
हर कवि का अपना श्रॊता है
शब्दजाल तॊ निमित्त मात्र है
भावॊं का मतलब हॊता है

Bhaav bade gehre hain Bhatti bhai...Great going!

Anonymous said...

Door dharatal ki sachchai se
Mann jane kyun yun ghabraata hai ?


OMIGAAWWDD!!!! U ARE FANTASTIC BHATTI SAAB

Ashish said...

@Julkha -- thanks and nice to see your name in my comments list

Ashish said...

@Tyagi -- i got the inspiration from my surroundings.

Ashish said...

@Shwetank -- aapke likhe shabdo ne hamari kavita ka maan bada diya hai ..thnx for all the compliments.

Ashish said...

@Amulya -- shabdo ki gehrai ko samjhi hain aap !! aap ke samajhne mai bhi ek andaaj hai :)

Unknown said...

its awesome...really nice

Ashish said...

@Sarika -- thanks Bhabhi !!